Saturday, August 31, 2013

Tujhe naz hai k main husn hon...

Tujhe naz hai k main husn hon

Mere gulistan ko zawal kiya…


Mujhe fakhar hai k main ishq hon

Jo jala na don to kamal kiya…


Mujhe zindagi ki dua na day

Mujhe zindagi ki talab nahi…


Meri maut ko jo taal day

Is zindagi ki majaal kiya…


Hamain manziloon ki khabar nahi

Hamain rah-guzar ki talash hai…


Is rah-guzar pe jo nikal paray

To urooj kiya aur zawaal kiya…


Thi jo ik ada-e-dilbari

Sari umr usi pe hi war di…


Teri yaad main sab guzar gaey

Shab-o-roz kiya mah-o-saal kiya..



Tujhe naz hai k main husn hon...

Dua by Samina Raja


Yarabb! labb-e-khamosh ko aisa kamal day

Jo guftgoo kay saray hi lehjay ujal day


Soaz-e-duroon-e-qalb ko itna jamal day

Jo mujh ko aik shamma kay qalib mein dhal day


Woh khwab marhamat ho ke aankhein chmak uthein

Woh sarr khushi ata ho ke dunya misal day


Woh harf likh sakoon ke banay harf-e-purr asar

Ik kaam karr sakoon too mujhay garr majal day


Main apni sha’eyri kay li’ay aa’eina banoon

Rahat nahin,too mujh ko baqa’ay malal day


Teray hi aastan pe jhuki ho jabeen-e-dill

Apnay hi darr kay wastay khoo’ay sawal day



Dua by Samina Raja

Un Ungliyoun ka lams tha aur meri zulf thi

Un Ungliyoun ka lams tha aur meri zulf thi,

Gaisoo bikhar rahay thay to qismat sanwar gayi



Un Ungliyoun ka lams tha aur meri zulf thi

To jo ae Zulf pareshan raha karti hay...

To jo ae Zulf pareshan raha karti hay,

Kis k ujray huay dil main hay thikana tera



To jo ae Zulf pareshan raha karti hay...

Daikhiye Koun Giraftar-e-Bala Hota Hay...

Daikhiye Koun Giraftar-e-Bala Hota Hay,

Aaj Woh Zulf Pareshaan Kiye Baithay Hain



Daikhiye Koun Giraftar-e-Bala Hota Hay...

Facebook Followers