Tujhe naz hai k main husn hon
Mere gulistan ko zawal kiya…
Mujhe fakhar hai k main ishq hon
Jo jala na don to kamal kiya…
Mujhe zindagi ki dua na day
Mujhe zindagi ki talab nahi…
Meri maut ko jo taal day
Is zindagi ki majaal kiya…
Hamain manziloon ki khabar nahi
Hamain rah-guzar ki talash hai…
Is rah-guzar pe jo nikal paray
To urooj kiya aur zawaal kiya…
Thi jo ik ada-e-dilbari
Sari umr usi pe hi war di…
Teri yaad main sab guzar gaey
Shab-o-roz kiya mah-o-saal kiya..
Tujhe naz hai k main husn hon...
No comments:
Post a Comment