Tuesday, August 7, 2012

kitna aasan tha ....


kitna aasan tha tere hijr main marna jaanan
phir bhi ik umr lagi jaan se jaate jaate

he azal se yun to jari...

he azal se yun to jari shabo-o-roz ka tasalsul
tere sath din jo guzre kabhi lot kar na aaye

haath uljhe hue resham...

haath uljhe hue resham main phansa baithe hain
ab batao kis dhaage ko juda kis se karen

ghalat ho aap ka...

ghalat ho aap ka waada koi khuda na kare
magar janab ki aadat he bhool jane ki

baada phir baada he ...

baada phir baada he main zehr bhi pi jaun Qateel
shart ye he koi bahon main sambhale mujh ko


akela waris hoon...


akela waris hoon main uski tamam tafraton ka
jo shakhs saare shehr main pyar bant'ta phirta he


akela raat bhar ...


akela raat bhar tarpa mareez-e-sham-e-gham saqi
na tum aae, na neen aai, na chain aya na mout aai


ab itni bhi muyasar nahin ...


ab itni bhi muyasar nahin mekhane main
jitni chor dete thay kabhi mekhane main

Facebook Followers