Saturday, October 5, 2013

Hum log mohabbat ki kahani mn mare hain...

Iss ka rona nahin kyon tum nay kiya dil barbaad

Iss ka rona nahin kyon tum nay kiya dil barbaad,

Iss ka gham hai ke bahut dayer mein barbaad kiya

Voh bewafa hua tto hua iss ka gham nahin...

Voh bewafa hua tto hua iss ka gham nahin,

Hum beyakeen ho gaye , haan iss ka gham tto hai.

Darya nay hum ko keh kay yeh sharminda kar diya...

Darya nay hum ko keh kay yeh sharminda kar diya,

Toofan jitnay aaye hain sahil say aaye hain

Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein...

Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein,

Sood Kia Zian Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Dil Ke Daam Kitne Hein Khuwab Kitne Mehnge Hein,

Aur Naqd-E-Jaan Kia Hai Tum Na Jaan Pao Gay


Koi Kaisay Milta Hai Phool Kaisay Khilta Hai,

Aankh Kaisay Jhukti Hai Saans Kaisay Rukti Hai

Kaisay Reh Nikalti Hai Kaisay Baatein Chalti Hai,

Shouq Ki Zabaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay


Wasl Ka Sukoon Kya Hai, Hijr Ka Junoon Kya Hai,

Husn Ka Fusoon Kya Hai, Ishq Ke Daroon Kya Hai

Tum Mareez-E-Danai Maslihat Ke Shaydai ,

Raah-E-Gumrahan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay


Zakhm Kaisay Phaltay Hein Daagh Kaisay Jaltay Hein,

Dard Kaisay Hota Hai Koi Kaisay Rota Hai

Ashq Kia Hai Nalay Kia Dasht Kia Hai Chalay Kia,

Aah Kia Fughaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Namuraad Dil Kaisay Subah Shaam Kartay Hein,

Kaisay Zinda Rehtay Hein Aur Kaisay Martay Hein

Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadoon Ki Tanhai,

Zeest Be-Umaan Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay


Janta Hoon Mein Tum Ko Zouq-E-Shaiyri Bhi,

Hai Shaksiyat Sayjanay Mein Ik Yeh Mahiri Bhi Hai

Phir Bhi Harf Chuntay Ho Sirf Lafz Suntay Ho,

In Ke Darmiyaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Facebook Followers