Mujh say Takraye Thay Dunya k Hawadis Lakin,
Main Teri Zulf Nahin Tha Kah Pareshan Hota
Mujh say Takraye Thay Dunya k Hawadis Lakin...
Mujh say Takraye Thay Dunya k Hawadis Lakin,
Main Teri Zulf Nahin Tha Kah Pareshan Hota
Ham Kisi Zulf-e-Pareshaan Ki Trah Ae Taqdeer,
Khoob Bigray Thay Magar Khoob Sanwara Ham Ko
Kholna ghazab hua teri zulf e daraaz ka,
Phansi galay me dal k duniya latak gai
Kisi Zulf K Saye Mein He Humain Neend Aati Thi…
Ab Muyassar Kisi Deewar Ka Saaya Bhi Nahi….!!!
Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay,
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay,
Wo jo saye main har maslihat kay palay;
Aisay dastoor ko,
Subh e bay noor ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.
Main bhee kha’if naheen takhta e daar say,
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say,
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say,
Zulm ki baat ko,
Jehel ki raat ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.
Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho,
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho,
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho,
Iss khulay jhoot ko,
Zehan ki loot ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.
Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon,
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon,
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon?
Tum naheen charaagar,
Koi maanay magar,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.