Jo dard k sehra main akela bhi bohat hai,
Uss k liye deewar ka saaya bhi bohat hai
Daikha nahi tanhai main tum ne kabhi uss ko,
Bichrre huey logoun ko woh roya bhi bohat hai
Jo dard k sehra main akela bhi bohat hai,
Uss k liye deewar ka saaya bhi bohat hai
Daikha nahi tanhai main tum ne kabhi uss ko,
Bichrre huey logoun ko woh roya bhi bohat hai
Fursat Ki Shaam Dil Ki Uddasi Tumhari Yaad,
Tanhai Mein Bhi Kitna Bada Kaarvaan Hai Saath
Kaamp uthti houn yehi soch ke tanhai mein,
Mere chehray pe tera naam na parh lay koi
Yeh Raat Yeh Tanhai
Yeh Dil Ke Dharkne Ki
Awaz Aur Sannata
Yeh Dobtay Taroo Ki
Khamosh Ghazzal Khawani
Yeh Waqat Ki Palkoon Per
Soti Howi Veirani
Jazbat-E-Mohabbat Ki
Yeh Akhri Angrai
Bajti Howi Her Janib
Yeh Moat Ki Shahnaei
Sab Tum Ko Bolatay Hain
Pal Bher Ko Tum Aa Jaoo
Band Hoti Meri Aankhoon Main
Apni Mohabbat Ka
Ek Khawab Saja Jaoo
Ek Baar Tum Aa Jaoo..!
Meri Wehshat-e-Rim AAho say Kahin Barh kar thi,
Jab meri Zaat main Tanhai ka Sehra Utra…!!
Neend aa jaye to kya mahfilen barpa dekhun,
Aankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun..
Aap ki Aankh Say Gehra hay Meri Rooh Ka Zakham
Aap kya Soch Sakain gay Meri Tanhai Ko…..!!
TuJhay Tu Waada-E-Dedaar Hum Se KarNa Tha,
Yeh Kya Kiya ! K Jahaan Ko Umeed’Waar Kiya