Hamen Shikwe thay kia kia un se,
Lakin Ham hi sabit huay ehsan faramosh..
Hamen Shikwe thay kia kia un se,
Lakin Ham hi sabit huay ehsan faramosh..
Yeh Sharmageen Nigah,Yeh Inkaar-e-Muzmahil,
Phir Kya Hay,Aitraf-e-Mohabbat Agar Nahin
Mizaj-e-Garami Ki Ho Khair,Ya Rab,
Kayi Din Say Aksar Woh Yaad Aarahay Hain
Allah Agar Tofeeq Nah Day,Insaan k Bas Ka Kaam Nahin ,
Faizan-e-Mohabat Aam Sahi,Irfan-e-Mohabbat Aam Nahin
Meri Talab Bhi Usi K Karam Ka Sadqa Hay,
Qadam Yeh Uth’tay Nahin Hain,Uthae Jatay Hain
Yeh Tera Jamal-e-Kaamil,Yeh Shabab Ka Zamana,
Dil-e-Dushmanan Salaamat,Dil-e-Dostaan Nishaana
Bay Tabiyaan Samait k Saray jahan ki,
Jab Kuch Nah Ban Saka to Mera Dil Bana Diya
Dard-e-Gham-e-firaq ke Yeh Sakht Marhalay,
Hairaan Houn Mn K Phir B Tum Itnay Haseen Rahay