Tu ki janay yaar Ameera !
Roti banda kha jandi he
Thursday, September 19, 2013
Kho gayi h manjile, mit gaye h raste...
Kho gayi h manjile, mit gaye h raste,
Gardishe hi gardishe, ab h mere waste
Mujhko yakeen hai sach kehti thi...
Mujhko yakeen hai sach kehti thi jo bhi ammi kehti thi
Jab mere bachpan ke dine the, chaand mein pariyaan rehti thi
Ek ye din jab apnon ne bhi humse naata tod liya
Ek wo din jab ped ki shaakhen bojh hamara sehti thi
Ek ye din jab saari sadken ruthi ruthi lagti hain
Ek wo din jab aao khele saari galiyan kehti thi
Ek ye din jab jaagi raaten diwaaron ko takti hain
Ek wo din jab shaamon ko bhi palken bojhal rehti thi
Ek ye din jab laakhon gham aur kaal pada hai aansoon ka
Ek wo din jab ek zara sa baat pe nadiyaan behti thi

Hum to bachpan mn bhi akele thay...
Hum to bachpan mn bhi akele thay,
Sirf dil ki gali mn khele thay,
Ik taraf morchay thay palkon ky,
Ik taraf aansuon ky relay thay,
Thi saji hasrten dukanon pr,
Zindgi ke ajeeb melay thay,
Khud kushi kia dukhon ka hal banti,
Mout ke apne sou jhamailay thay,
Zehn-o-dil aaj bhookay marte hain,
Un dinon hum ne faqay jhailay thay
Kal uss ke saath hi sab raastay rwaana hue,...
Kal uss ke saath hi sab raastay rwaana hue,
Maen apnay ghar say nikalta to kis ke ghar jata
Subscribe to:
Posts (Atom)